.

Tuesday, May 25, 2010

taveez ake bar he asar deakhata ha bar bar nahi

As salamu allaiqum


bohat se log ahsa ha jin k galoon main kahi kahi sal se taveez pare hota ha or wo bare motmahim ho kar un ko pehna rehta ha . abb main app logo ko samjhata ho ka taveez kam kis tarah karta ha

her rohani kalam k tahat kohi na kohi rohani cheez hote ha jo us kalam ka ma tahat kam karte ha or us cheez ko hukum de kar paband kiya jata ha ka fala fala kam karo to phir wo rohani makhlooq kam karte ha . laken wo rohani cheez ake waquat k liya mokarar hote ha sare zeendage ka liya nahi

taveezo main parahe ki jate ha or unki zakat nikali jate ha u samajh lay ka taveez k uper fojio ki duty lagahe jate ha or un ko kaha jata ha ka fala fala tareka se hifazat karni ha for example ake taveez k uper 1000 fojio ki duty ha uper se jadogar jado kar raha ha . us ka roz 500 foji ata ha victim k pass abb taveez k foji or jadogar ka foji dono ki apious main fight htoe ha to jadogar or taveez ka foji ki larahe ka baad taveez ka be khatam hota ha foji or jadogar ka be u samajh lay k larahe ka baad taveez per baki foji bacha 400 taveez per phir jadogar ka next jado kiya or jadogar ka foji phir larna ah gahe victim ka pass is larahe ka baad taveez per kohi foji nahi bacha . u samajh lay ka taveez per kohi pehra nahi ha . taveez ka asar khatam ho jata ha



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com





27 comments:

Anonymous said...

please muje dushmano se bachne k liye koi taveez bataye ya koi surah

Anonymous said...

surat anzaal ke baare main bhi koee taweez ya a sura batain

Anonymous said...

Assalam u Alaikum wa RakhmatuAllahe wa Barakatuh

plz read it with intention
40 saal ki rodaad batana mumkin nahi
iss liye jo yaad ata gaya wo app tak zaror ponchaon ga
jo mujhy maloom hy
inkay time bhi inkay din bhi inkay khas awqaat bhi
inkay baaz amiliyaat bhi jo ye humaray punjaab k elaqay mi kertay hain
...............
bari mushkil aur sabr sy 15 month k baad main aap ko bata raha hon
iss sy pehlay mujhy rukaawat thi jiski waja sy main aap tak apna haal na poncha saka

iss waqt bhi cheesin mujhy tang ker rahi hain
aur aap ko batana min rukawat daal rahi hain
kuch cheesin meray iss message ko read ker rahi hain
Allah k liye meri aur meray ghar walon ki maded kijeye

yeh message mainy kai dafa likha hy pata nahi main aap tak apni baat sahi tor per poncha sakon ga ya nahi?

kabi likho aur kabi na likho meray under halchal jaari hy
lakin main Allah ka naam ly ker aap ko halaat batata hon

Allah keray aap k dil min utter jaye meri baat

Anonymous said...

tamam amelon sy elaaj kerwaya hy sub ny jawab dy diya hy.
wo sub kehtay hain ye hamaray bas ka kam nahi hy.
koi dawa assar nahi kerti,koi amal assar nahi kerta,bara elaaj karaya mager kuch farq na para , taqreeban aik karror rupay kharch ho chukay hain in 40 salon min lakin beemary barti gai, theek nahi hoi.Doctery nafsiyaati jismani Rohaani sub kara chukay hain sirf aik do din farq parta hai phir wohi condition ho jati hy.ab tou ajeeb o ghareeb makhloookat raat ko nazr bhi aati hain.
taqreban sabhi amilon sy elaaj karwaya hai ab tou her koi iss kam min haath dalny sy darta hy
shaadi ko taqreen 35 saal hony walay hain lakin shuru hi sy larai jhagra ,uljhan,beemari,tension,rukaawatin,sakht mehnat k bawajood nakaami
sub k saath acha honay k bawajood dosray log mukhaalif,her koi kisi na kisi tarah intiqaam lenay per tayyaar,

zindagi jeena aur zinda rehna mushkil bana diya gaya hy
her waqt ghar min khoon,haz,gandgii,ghilazat k baarish
24 ghantay badboo jo nazr nahi aati,halan k kisi jaga aag nahi hoti lakin iskay bawajood badboo dar dhuwan aata hy jo bad min raat ko saans aur jism k under sy aanay lagta hy.
her waqt zukam balgham cheekain aati rehti hain
ghar k subhi logon ko jismani dard rehta hy
ghar ki auratin zanaana aur mard mardana beemariyon min ghir chukay hain
kisi ka maida kharab tou kisi ka jigar
kisi ki kamar min dard tou kisi k pait min
kisi k Daant min shadeed dard tou kisi k sir min shadeed dard

sir ,kandhay ,aur jism bhaari bhaari mehsoos hota hy
itni thakaawat hoti hy jaisy hum koi hardwork kerty hon
khawab min kalay naag, kalay saanp,(peelay sabz aur red colour k bhi),bichoo,Haati,kutay,kalay kutay,baray baray khufnaak khunkhaar kutay,lion,
baray baray bipharay hoye "Bail" kali "Bhance" Bhori bhance,Magermajch,kunkhajooray,etc aatay hain

Anonymous said...

khud mujay
khufnaak jaga per , weeran jaga per, jangalaat per, Hindu k mander min, amelon k saath unka chera nazr ata hy(kuch ko janta hon aur kuch ko nahi janta)
hindu k shamshaan ghaat, jis paani min wo murday ki raakh ko bhatay hain wo jaga,khawab min dikhai drti hy
aik larki aur aik larka hamesha meray aagay peechay hotay hain
jism min sooyan si chubti hain bahot takleef hoti hy 5 saal sy aisa ho raha hy
khawab min akser kuch logo ko jaado kerty dakta hon
wo mujh sy kehtay hain k ye jadoo hum tumaray liye ker rahay hain
bahot khufnaag kisam ki jaga per khud ko pata hon
kabi khyaal aata hy bhaag jaon
kabi khyaal aata hy khudkashi ker lon

mujhay aik problem aur bhi hy wo ye k mujhy khawab min makhlook nazr aati hy
kuch chorail meray peechay pari hain
mera gala dabanay ki koshish kerti hain
kai dafa khawab min khoobsorat larki nazr aati hy
mujh sy doosti kerna chahti hy main inkaar ker deta hon tou uski shakal badal ker khufnaak ho jati hai
akser ye cheesin khawb min mujhy jinsi tor per preshaan kerti hain
subho jab utjta hon tou kapray na paak hotay hain
plz meri help kerin meray apnay bas min kuch nahi
aisa lagta hy jaisy main aik machine ki tarah unkay hathoon min khiloona bana hoa hon
jisay jaisay wo chahin use kerin


aakhir min mujhy yaad aya k hum per jaado kerny walon ka aik napaak ghanda tareeqa:

yeh Hazrat Umer R.A aur Hazrat Abu Baker R.A k naam walay taweez likh ker
un per jootay ,chapal, pather maartay hain
aur Quraan ki taraf Zuban moun sy baahir nikal ker b adabi kertay hain

Anonymous said...

mukhtaasir tor per aap meri help in baton min kerin

plz help me in these

sehat
shaadi
taleem
kala mela sifli jadoo tona ameliyaat asraat jinaat makhloqat moakilaat

20-25 Amel jin min Hindu ,Christian ,Shia,Bangali,Muslim,shaamil hain ,humaray peechay paray hain

10-15 buri auratin buri larkiyaan
5 female jadogerniyan amilaat peechay peri hain

in sub min ziyada ter shia hain ya hindu
main kai dafa martay martay bacha hon
isi tarah meri walida bhi

afsoos k main apni baat tarteeb sy biyaan na ker saka
kya keron jab bhi koi baat kerta hon Zehn min halchal mach jati hy
Khyaalon ka aik hujoom meray under ubaal kha raha hota hy
sochta ho konsi haqiqat biyaan keron aur konsi nahi
yahan tou ghar ka ghar bardaadi k dhaanay pe khara hy
log meri jaan k dushman hain
yaad aya
jis jaga per hum reh rehay hain uski waja sy khaandaan walay meri jaan k sudhman hain


aksir amelon ko tou pata hi nahi chalta tha k cheesin samnay aati hi nahi thi
hum ko cheesin nazr aati thin jab k amelon k paas haazir nahi hoti thin

aur jin amelon k paas cheesin haazir hoti thin tou aamil Dar ker kaam chour deta tha
aaj taj kisi ny bhi humaray kaam min haath hi nahi daala
koi iska tor ker hi nahi saka


Baray Baray amel (jinka Dawa tha k wo her kaam ker saktay hain) humari situation min kuch na ker sakay
islye main ustaado k ustaad yani Amelon k AAmil k talaash min hon
itnay min search kertay kertay main aap tak poonch gaya
shayad aap meri kuch maded ker sakin

mazeed tafseel aur bahot sari dardnaak haqiqatin main baad min aap ko bataon ga
kyoon k wazaaif kertay kertay main ne yr cheesin dakh li hain
un min sy aik kala saanp hy jo humaray ghar min rehta hy

Anonymous said...

raat sy yaad aya aik Kaali Bili bhi raat ko 11:20 to 3:20 k dermiyaan aati hy
jab hum sub so chukay hotay hain
sonay sy yaad aya k sotay hoye akser meri waalida aur mera gala dabta hy
meray baazoo aur dono Taangin sun ho jati hain
ya phir itna shaeed dard hota hy k meri cheekhin pora mohala sunta hy
itni bhaari ho jaati hain jaisy mainy tono wazan uthaa rakha ho
main harkat nahi ker sakta'
main awaaz deta hon meri awaaz awal to moun sy nikalti hi nahi
aur ager nikalti hy tou doosron ko sunai nahi deti
aakhir main khud hi Ayat aur Quk etc perhta hon aur 1 2 minute k baad theek ho jata hon
Allah ka shukr hy main aur meri behn Hafiz e Quran hain
F.A ker chuka hon aagay perhai min noukri min rukawat hy
kai baar try ker chuka hon sakht mehnat k bawajood bhi kamyaabi nahi milti
4 saal sy meray dil aur dimagh per zaberdast assaraat mehssos kerta hon
aisa lagata hy jaisy Zehn Sun ho gaya ho
ya kisi ny soochny sumjhny ki Power mujh sy cheen li ho
bas in jaddo wali makhloqaat k aagay "Robot" bana hoa hon
Aam jaado aur Jinaat ko main Qaabo ker sakta hon
lakin humaray ghar min yeh jo jinaat makhloqat aur moakilaat hain yeh bahot hi "Maahir" "Jaddoger" hain
aur yeh Aamil bhi hain
yehi waja hy k main inkay aagay qaboo aa jata hon
aik Aamil ko in makhloqaat ny maar dala hy
doosray bhaag gai hain
koi humara saath nahi deta


yeh makhloqaat kabi kabi mujy warning deti hy
k Duniya ka koi Aamil humara kuch nahi bigaar sakta
aur hum tujy aur tumari maan ko maar daalin gy
aisa ker din gy k tum na jee sako gy aur na mar sako gy

Anonymous said...

yeh baat such hy in makhlooqat ny waqiya hi mera jeena do bhar ker diya hy
meray waalidain meray behn bhaaiyon aur dooston ko meray khilaaf ker diya hy
iss liye k main apni maan ka elaaj karata hon

itni tafseel mainy likh di hy
baaqi aap khud 40 saal ka hisaab lagain
aur hum per humaray ghar per humarati her ik cheese per
ya humaray liye jis jaga jo kuch kiya gaya hy
Allah k liye ussay Khatam ker din
aakhir min aik baat

hazaaron dafa mainy yeh jadoo katwaya hai
lakin yeh phir ker detay hain
Subh kaat karata tha tou shaam ko phir naya ho jata
shaam ko kaat karata tou subh phir naya aur powerful ho jata

jo log hum per jadoo kerwaatay hain wo bahot powerful Siyaasi asar o rusukh rakhny walay hain
6 khandano k baray hain wo jo keh din saray khandaan walay unki baat maantay hain

afsoos wohi log 6 khaandan aur
25 amilon (jin min 2 Hindu 2 Chriistin Layah min rehtay hain)k saath
humaray peechay paray hain
kya aisa koi hal nahi jis sy humari in Zalimo sy nijaat ho sakay
aur meir Dukhyaari Maan zindagi min Sukh k 2 saans ly sakay
bahot shukriya

40 saal azeetnaak zindagi
Khawand buri awarto k chakker min
awlaad ki shaadi min rukawat'
Rizq ki bandish
taleem ki bandish
sukh sukoon ki bandish
her kisi ko dushman bana diya gaya
saaf hawa min saans tak lena dushwar

in theen dino min humaray ghar ziyada problem hoti hy
Friday, saturday , sunday

Anonymous said...

in times min
Din ko 9 to 10
11:30 12:15
1:30 3:45

shaam ko
baad az namaz e Asar ta ishaa
yaani sooraj gharoob honay sy 30 minutes peyly sy lay ker
isha ki azan tak

Raat ko
8:30 ta 9:30
10 ta 10:30

11:15 ta 12:15

1 ta 3:45


jab kali bili humaray ghar aye
ya bahir kutay bhonkin

ya meri aur meri walida ki tabiyat kharab ho
Dil per ghabrahat ho etc
wo tine hota hy
12 ta 3:30


yaani din aur raat k 11:30 ta 3:30
aur Friday aur satureday sunday

Anonymous said...


kyoon k aaj jumeraat (thursday) hy iss liye wo log khaas Amilyaat kerty hain
soorag ghroob honay sy lay ker sooray tulooh hony tak

aaj aap check ker lijeye ga
jab bhi koi Aamil hissaab ya istikhara lagat yeh cheesin ghiab ho jati
aur aamil kehta k kuch bhi nahi hy
jaisy hi hum ghar aatay wo cheesin phir aa jati

aik jin aisa hy jo meri walida per kabi kabi aata hy
lakin jab bhi aata hy meri walida ki tabiyat bahot kharab ho jati hy
bahot saray aamil usay qaboo kerny ki koshih ki lakin wo kisy k qaboo min nahi aya
lakin humara bara nuqsan keta hy
wo kehta hy main tumarai maan ki "Talaaq" dilwa ker raho ga
us jin ko jaado bhi aata hy
yehi waja hy k wo meray kiye per paani pahir deta hy


Ager aap meray liye kuch ker saktay hain tou ye aap ki mehrbani ho gi
kyoon k main ab thak haar chuka hoon
mera jisam aur aysaab jawab dy chukay hain

Allah aap ko iska ajr dy
mujy aur meray in ghar walon ko in balaon churailon sifli moakilaat aur khabis jinaat sy humary jaan chorain
bahot shukriya



meri walida ny kai female jinaat ko mujh per raat 11:15 ta 3:15 k dermiyaan jaddoo kertay aur
hindi zuban min kuch perhty dakha hy... jo humaray bathroom ya ooper chat sy aati hy


isi tarah kuch ajeeb o ghareeb parinday (birds) daily humaray ghar aatay hain
kabi din ko kabo subho kabi shaam ko aur kai dafa to aadhi raat ko bhi

kai dafa raat ko aadhi raat ko aisa mehsood hota hy k kisi ny chalaang lagi ho
main ooper jata hon tou wahan koi nahi hota

kabi kabi aisa lagta hai jaisy chat per koi hy koi chal raha hy
koi door raha hy
lakin koi nahi hota

Anonymous said...

2 dafa aadhi raat k baad meray saath yeh hoa
k aisa laga jaisy main abhi mar jaon ga
mera dil min sakht ghabrahat hoi aur main meechay girnay wala tha......jaisy abhi
dil ya dil ki ragin phat jain gi
k ammi ny mujhy paani pila diya jis sy 5 minute k baad meri tabiyat theek ho gai


isi tarah kai martanba aisa mehsoos hoa jaisa k abhi mera Zehn dimagh ya iski ragin phat jain gi

jis jaga hum reh rahin hain uski waja sy mujhu life threds hain
meray liye aur meri maan k liye dua ki darkhaast hy

meri behno k reishtay 3 jaga hoye aur 3no jaga larai ho gai
jis bhi larkay k saath meri behn ka rishta teh hota hy
ya tou wo bilkul nakara ho jata hy
ya phir larkay k ghar min larai ho jati hy
ya phir unkay khandaan walon min sy koi bila waja inkaar ker detay hain
ya meray waalid sahib nahi maantay


Allah k liye meri behno ki achay rishtay ki bandish ko bhi khatam kerin
aur dua kerin k meri behno ki achi jaga shaadi ho jaye ta k meri behni sukoon sy zindagi guzaar sakin

meray dushman mujhay maarny ki kai baar kishish ker chukay

ab bahir badboo wala dhuwan aana shuru ho gaya hy iss liye mujhy baat yahin per stop kerni perh gai hu

kya aap k paas iss badboo ka koi tor koi elaaj koi hal ? hai
k phir ye na aaye yeh humaray under , naak k zerye dimagh min ghus jaati hy
phir waswasay , ghalat fehmiyaan nazala zukam gala kharab

hum bahot tang hain saaf hawa bhi Oxcijen bhi nahi milti yaani ab tou saans lena bhi sudhwaar hy
aur wo bhi din min 3 bar aur raat ko 7 baar

Anonymous said...

kai dafa raat ko mujhy halki halki awaz aati thi Germiyoon k mousam min
yaani may june jully august k month min
jab mainy us awaz ki samt maloom ki tou wo meray peechay sy ooper ki taraf aa rahi thi
tou jaisy hi mainay us taraf dakha tou kya dakhta hon k aik khaufnaak chipkali
(aam tor per humaray ghar min chipkali germiyon k mousam min bahir sy aa jati hain)
yeh chipkali aam chipkaliyo k moqablay min moti bhaddi aur bari thi
wo zpni meri taraf dake ker apni zuban nikaal rahi thi
aur uskay moun sy ajeeb o ghreeb awaazin aa rahi than
yeh meray saath akser hota hy
main kahin bhi jaon yeh chipkali wahan bhi pooonch jati hy
aik dafa tou bathroom min yeh chipkali meray aagay khari ho gai
aur mujhy bahir nahi nikalny dy rahi thi
mainy us mara daraya lakin wo nahi dari
bal k ghoor ghoor k mujhy dakhny lagi aur meri tarf barhnay lagi
phir mainy parhaai shuru ker di tab kahin ja ker wo bahir nikli aur pata nahi kahan chali gai



isi tarah akder jab main Quraan perhta hon raat ko
(main aur meri behb Hafiz e Quraan hain)
yeh bhi ajeeb baat hy jab main ny 29.5 paaray hifz ker liye
aakhri kuch pages(safhat) reh gai thay
us din fajer ki namaz k baad main madrasa pooncha kya dakhta hon
k her derwazay k bahir surkh(RED) colour ka safoof sa para hoa hy
(shayed surkh mirch hogi pissi hoi ya phir kisi matti k bartan ka choora kiya hoa safoof)
tou jaisy hi mainy under ja ker apna aakhri sabaq yaad kerna shuru kiya
tou meray teacher intehai ghussay min hogai aur mujhy madrasa sy nikaal diya
halan k mujhy hifz kerty hoye 2.5 saal ho gai thay aur mainy 29 paray suna chka tha
bas aakhiri aik para rehta tha jo us din sunana tha
pata nahi kya hoa aur un teacher ny mujhay bahir nikaal diya
jo us sy pehlay meri tareef kiya kertay thay
yeh yaad aa gaya tou mainy aap ko bata diya

Anonymous said...

baat ker raha tha k jab raat ko main Quraan e Paak ki tilawat kerta hon
tou us waqt ya raat ko sootay hoye ya computer use kertay hoye baikthak min
meray ooper kuch cheese girti hy jiska colour brown ya black hota hy jaisy "TEA" ka dana
ya jaisy "Rait" ka zaraa
aisay lagta hy jaisy kisi ny rait ka dana giraya ho

5 saal ki ghor o fikar k baad mainy ye mushahida kiya hy k
jab jadoo hota hy tou light off ho jati hy
jab jadoo chalta hy tab bhi light off ho jati hy
ya andhairi raat hoti hy
isi per ghour ker raha hon k ye light ka jaadoo sy kya tauluq hy?
kala rung kala ilm kala bakra kali billi kala kutta kala kawa

humarat ghar min aik parinda jisay punjaabi min "Laaleriyaan" kehtay hain
wo aur kala kawa toota kaboter faakhta chiriya
kaali bulbul kaali chiriya surmai chiriya
aur ajeeb o ghreeb parinday aaratay hain
jo aam parindon sy mukhtalif hotay hain
yeh humaray chat aur humaray ghar k ird gird aur hurmay ghar k ooper makhsoos jaga per makhsoos waqt aue makhsoos dino min aatay hain
aur kai kai hours tak baitay rehtay hain
halan k parinday insaan sy dartay hain lakin main in ko uraata hon darata hon marta hon
lakin wo tas sy mas nahi hotay aik jaga per bas baithy regtay hain

mujhay khawab min yeh ishaara mila tha k yeh parinday nahi hain
yeh parindon ki shakal min chipkaliyo ki shakal min chiyontiyoo (Ant) ki shakal min koi makhlooq hy

Anonymous said...

ghar min her tarat Quraan ki ayaat naqsh aur paani 4 kono min kerta hon
lakin yeh makhlooq mera sara kaam khatam ker deti hy

iska hal aap khud hi kerin yeh kisi aur k bas k baat nahi

aik dafa raat k 12 bajay main Quraan ki tilawat ker raha tha
(hum ghar walay Allah ki di hoi taufeeq sy Quraan namaz nawafil wazaif perhtay rehtay hain)
k achanak mujh ko wo chessin nazr aa gai aik bilkul black ooper sy neecay tak larki thi
jisk baal kaali siyah aur paaon tak thay wo meray baain taraf meray saath baithi thi
aik larka tha chooti si umer ka jis ny half white color k kapeay phanay thay aur meri taraf dakh raha tha
sirf 5 second min mainy dakh liya

aik aur dafa wo bister per meray saath letay thay
main khafzada ho gaya tha
phir Ayaat perh ker phookha tou tabiyat bahal hoi


Hifz kerny ki waja sy akser subho aur raat ko dair sy ghar aaya kerta tha
Raastay min taqreeban her qisam ki makhlooq mujhy kai dafa dikhai di aur darati thi

meri maan k in 40 saalon min
aur meray in 15 saalon min itnay waaqiyaat hain
soochta hon kya bataon aur kya na bataon?

pata nahi aap meri baaton ka yaqin kerin gy bhi ya nahi
kyoon k humaray saath hoa bhi tou kuch aisa hy
jo doosron k saath nahi hoa

kyoon k humara poora ka poora ghar jadoo o bandish ka shikaar hy
humara her kaam bandish ka shikaar hy
humaray ghar min her kisi ko koi na koi masla hy

acha ab main isko yehi per khatam kerta hon
Baaqi aap khud bhi istikhara kerin aur dakhin k humaray saath kya problems hain
mujhy her Qadem per aik Rohaani Guide ki zaroorat hy

Anonymous said...

main aap sy suggetions leta raho ga
plz mujhy apnay contacs min add ker lijeye

ye baat mainy kai baar likhi hy
kabi kya problem ho jata hy to kabi kya
isi liye main apni baat poori tarah na ker saka

aaj 3 day hy tab kahin jaa ker ye baat aap tak poonch gi
naam aur mother ka naam aur unki mother ka naam mainy likh diya hy
plz check kejeye
aik baat bata don
jab bhi main kisi sy istikhara kerwata hon tou

ye makhlooqat ya tou ghaib ho jati hain
ya istikhara min kuch nahi aata
ya phir ye cheesin haazir nahi hoti

aur ager Aamil power rakhta ho to uskay aagay haazir ho bhi jaati hain lakin Aamil ko apni Jaan ki fikr lag jati hy so wo beach min hi chour deta hy

lakin istikhara ya elaaj k baad ye makhloqaat meri dushman ban gai hain
mujhy aik minute bhi sukoon sy rehny nahi deti

main aap ko alag alag
apni sisters k mutaiq
apnay mutaliq
apnay waalid k mutaaliq
apnay ghar aur khandaan k mutaaliq
taleem sehat shaadi rishtay Rizq Sukoon k mutaaliq
aur mukhloqat k mutaaliq(jis sy mera waasta hy)
aur jaadoo tonay k mutaaliq jo hum per kiya jata hy

Anonymous said...

batoon ga
ishaAllah
kya pata meri baatin aap k liye madedgaar saabit hon

kyoon k iss ghar k haalat main hi jaanta hon k mainy apni zindagi k 12 saal iss
ghar ko bachanay aur Aabaad kerny k liye din raat koshish ki hy

Aamil log humaray halaat sy poori tarah waaqif nahi ho patay
kehtay hain kuch bhi nahi
pata nahi unkay paas ilm hi itna hy k wo in Makhloqaat k aagay bybas hain

mujhy kya kya halaat paish aaye aur kaisy main nakaam hoa
ye aap ko kabi kabi bata raho ga

bas aap mehrbaani kejeye ga k apni Rohaani Power k zerye humin in zaalimo sy nijaat dila din


bahut shukriya
Allah Hafiz

aur mujhy iss baat ka intezaar bhi hy k aap ka ilm aur Roohani Powers
kis had tak humara Rohaani problem solve ker saktay hain?

kya ye makhlloqat aap k paas Haazir ho jain gi?
kyoon k mainy aik saal tak aap k "Jalali Moakilaat Recitaion" 16 16 hours tak chalai hy lakin iska zara bhi assar in makhloqaat per nahi hoa?
aap jaan saktay hain k ye Sifli Moakilaat bahut hi ziyada Powerful hain aur Maahir Aamil jinaat hain
ye her cheese ka tor ker detay hain
iss liye aap koi zaberdast wazifa kerin gy tou hi ye problem solve hoga
warana ye chessein kisi k paas haazir nahi hoti siwaye aik Aamil k

inhi Rawalpindi, Islambad ,Laya ,Pishawer ,Multaan,Kashmir,baharat,Bangaali,Hindu ,Sikh,Eissai
,aur shia k Maahir aur Baray Baray mashahor 25 Jadogaroon ki Support haasil hy

main aap k reply ka shidat sy intizaar keron ga

kisi ka koi taweez ,koi kalam,koi dawa asser nahi kerti
bas thora bahut hum jo Quraan perhtay hain ussi sy kaam chal jata hy
wo bhi sirf 1%
99% effect nahi hota
aam jinaat aur makhloqat tou qaboo min aa jati hain
lakin ye nahi aa rahi

yaqeen kerin ab tou jisam ka aik aik hisa "Dukhnay" laga hy
aur masaail hain k bartay hi jaa rahay hain
humaray sub din dunya k kaam ye makhlooqat "Ulat" deti hain

humin Namaz Quraan naik kaam kertay hoye bhi rukawat ka samna hota hy
jab hum masjid baazar bank safer pe kisi bhi jaga jaain
ye cheesin humaray peechay wahan bhi poonch jati hain
aur humara bana hoa kaam seconds min Bigaar deti hain

Anonymous said...

plz Allah k liye humari maded keijeye
iss Dunya min Zameen k neechay sy ker Aasman min hawa tak
humaray liye jo Jadoo tona Amal Assar Bad nazr Naqsh taweez jinaat makhloqaat moakilaat "Pehra" "Gehra" Bandish Rukawat Waswasa
jo kuch bhi kiya gaya hy aap usay "Zaail" ker din uska Assar khatam ker din
uski kaat ker din bal k un logon per hi palat din
taa k unhi bhi maloom ho sakay k 40 saal azeeyat min rehna kisa hota hy?

jo kuch kisi ny kahin bhi ker rakha hy humaray liye
aap Allah k liye ussay Khatam ker din
aur aisa amal kerin k ainda koi hum per kerny ki jurat na ke sakay
aur ager koi keray tou khud us per ulat ho jaye

aur ye dua bhi kerin k meri behno ki shaadi kisi achay naik paak saaf gharany min ho jaye
aur Allah mujhy Halaal Tayib "Naukri" ata keray
sub sy pehly meri Waalida ko Allah sehat dy aur unhi shifaa dy
phir meray waalid sahb "Sudher" jaain aur apni biwi bacho k saath "Mukhlis" hon aur "Mahabat" sy Paish aain
Allah humaray Ghar ko buri nazr sy bachaye
aur Allah humaray ghar ko meri maan behno k ghar ko hamisha "AAbaad" rakhay
meri maan aur behni zindagi ki khushiyaan dakhin

hum kul 10 afraad hain
ammi abbu
4 bhai
4 behn

meri 2 sisters nujh sy bari hain
aik ki age 30
doosri ki 28
meri age 26
baaqi sisters aur bhai hum sy kam umer hain
24
20
18
12
10

meri pehli aur aakhiri wish
1 meri waalida aur waalid theek ho jaain
aur meri sisters ki shaadi ho ker unka ghar aabaad ho jaye
aur humin in zalimo sy nijaat mil jaye

Allah Haifz

Anonymous said...

Bachpan sy ilm o taleem dunyaavi o Deeni taleem sy doori ki waja sy anparh rahay hain aur deen ki taraf interest na honay k braber hy
gandhi female k chacker min pachpan sy pahnsy hoye hain
unkay pachpan ki ghalat doostiyon ny ghar ka sukoon barbaad ker diya hy
gandi aur ghalat awratin peechay pari hain
meri waalida aur waalid ko aapas min larati rehti hain
jado tonay ameliyaat bhi kerati hain nafrat k judai k
hata k 4 awraton ny ye kaha k "Hum apnay Baap ki awlaad na hon ager hum issay Talaaq na dilwa din" yaani meri waalida ka ghar wo ujaarny per toli hoi hain...!!!

20000 sy lay ker 5 Lakh 500000 k ameliyaat/jadoo/tonay/ wo kerwati hain

ya phir kisi Aamil ka "Time" kharid leti hain
tou wo Aamil daily subho shaam "Parahi" ker k humaray ghar ka sara nizaam ulat deta hy, larai ho jati hy, ghalat fehmi ho jati hy
paisa khatam ho jata hy, kisi na kisi ka jaani maali nuqsaan ho jata hy
ghar ki tamam chesin kharab ho jati hy

main bari muhskil sy inki kaat kerwat hon
lakin wo phir ker detay hain
ab itnay paisay main kahan sy laaon k "Kaat" kerwaon
kyoon k humaray "Dushman" sakht ameliyaat "Maahir" jadogeron sy kerwatay hain
aur aik saath 3,ya 5 ya 7 amelon sy ikhatha kerwatay hain


main jab aik ki kaat kerwata hon tou wo doosra ker detay hain
doosray ki kerwata hon tou wo phir teesra ker detay hain

yaqeen kerin humaray Baal (hair) ki khaal sy lay ki paaon(foot) ki ungliyoon tak
aur under sy ly ker baahir tak aur ghar sy lay ker Baazar Bank Masjid tak
her taraf humaray liye "Makhloqaat" ki "Poori ki Poori" Fouj tayyar khari rehti hain

Anonymous said...

jab bhi hum koi kaam kertay hain
ya kerny ka soochtay hain
humaray Mukhaalif logon ko iska pata chal jata hy
so wo humaray kaam kerny sy pehly hi iski bandisah rukawat kerwa detay hain
iss dy awal tou humara kaam hota hi nahi
ager ho bhi jaye tou nihaayat mushkil sy ruk ruk ker hota hy
aur job hoata hy tou sirf 40%
Lakin Allah ka shukr hy k us ki taufeeq sy main ye 40% bhi sakht aur unthak mehnat k baad Haasil kerta hon

humaray liye ye "Paisa aur Maal" Sakht Aazmaish bana hoa hy
humaray waalid ki naukri acchi hy un k paas kaafi Paisa hy
jis ki waja sy her koi hum sy humara Haq "cheenana" chahta hy
lakin jab waalid sahb apny paisy min sy sirf "30%" detay hain tou bhi ye 30% jab tak khatam nahi hota meray liye jeena mushkil bana deta hy

kabi Bill "bahot hi ziyada" aa jata hy
kabi koi school walay achaanak maang letay hain
kabi koi ghar min raat ko achanak sakht beemar ho jata us k elaaj min kharach ho jatay hain
kabi khandan min koi aisa event aa jata hy jaha denay per jaatay hain

meray kehnay ka maqsad ye hy k pasia humaray paas nahi "Tehr" sakta
lakin mujhy ghar walon ki taleem sehat ,ghar ka nizam chalany aur ammi ka elaaj kerwanay
aur kaat kerwany k liye paisa chahiye hota hy jo meray paas nahi hota
ager waalid sahb dy bhi tou "Late" ker k detay hain aur wo bhi sirf "30%"
aur baaqi wo auraton ki chacker min luta detay hain
ghar ki aur humari unhi zara fikr nahi
bas wo ye chahtay hain ki unkay "ManPasand" log unki "Nazron" k Samnay rahin

aur jab hum ghar walay unki "tawaju" chahty hain to wo ghussa ho jatay hain

pata nahi un ghaliz aurato ny aisa kya jaado ker diya hai
k humaray waalid hum sy Eid k din bhi "BeZaar" nazr aatay hain

jab k doosri aurato aur unky bacho k saath khush hotay hain
lakin apnay bacho per "ghusa" hotay hain koi na koi "Aitaraaz" kertay hain
her baat min "Keeray" nikaltay hain jaisy hum bahot baray "Mujrim" hon
hum sub ghar walay unki iss Aadat sy sakht beZaar hain

wo ghar jab bhi aatay hain kabi mahabat sy baat nahi ki
bas inhi uljhano, jhagro, ghussay,nafrat min uljhay rehtay hain
kabi aaram sy humaray saath khana nahi khaya

hum log "Waalid" ki "Mahabbat" ko "Taras" gai hain
Dua hy "Kaash" mera Rub unko "Peechay" "Mooray"
aur apny ghar walon ki "Haqiqi Mahabat" unky Dil min Daalay

pata nahi humaray liye unky Dil min itni Nafrat Kahan sy aa gai
humari her baat ko wo "Shak" ki Nigah sy dakhty hain
hum un sy Mahabat kerny ki koshish bhi kerin tou "Ghalt Fehmi" ka shikaar ho ker
ulta "Shak" min mubtila ho ker humara "Dil" tor detay hain
her waqt wo haumara liye "Ghalat Fehmi" ka shikaar rehtay hain

Anonymous said...

meri aik behn M.A min hy
Doosri BSc min
aik bhai BS(TN)
2 Behni FA min hain
mainy khud F.A kiya hy aur Quraan Paak ka Haafiz bhi hon
Allah ka shukr hy k meri bari Behn bhi Quraan e Paak ki Haafiz hain

hum 3 baray behn bhayon ny mil ker ghar k liye qurbani di
aur khud ko peechay ker k doosray behn bhayon ko taleem dilwa rahay hain
jis ki waja sy Dushmano ny hum per "balaon Musebaton" k Pahaar tor diyr hain
bari mushkil sy main in sub ko namaz roza Quraan aur Taleem Dilwa raha hoon
plz meri maded kejie
mujhy zaberdat Powerful "Rohaani" "IMdaad" chahiye
aur humarey liye Dua kijeye k Allah hum per apni Rehmat Bersaye
aur hum per jo Aazmaishin hain wo khatam ho jain
aur humara ghar "aabaad" ho jaye
phir sy iss ghar ka "Gulshan" Hara ho jaye
aur meri waalida aur behni sukh ka Saans ly sakin

40 saal sy meri maan beemar hain
27 saal sy meri behn muktalif masaaib ka shikaar hain
bachpan sy mujhy rukawtin hain lakin Allah k karam sy main kuch ko khatam kerny min kamyaab hoa hon aut ghar ko chalaya hy
lakin ab meray bas ki baat nahi
pichaly 7 saal sy sakht aazmaishon takalif massaib aur balaon aur makhloqaat min ghira hoa hon

Anonymous said...

Khandan k kuch Siyaasi baron ny humari zindagi k Faisaly kiye
jo humaray liye theek nahi thay wo hum per "Zulm o Ziyadati" kertay
humnin mukhtalif Azeeyatin aur takalif di jatin
humaray Raastay min Rukawatin Daali jaatin
lakin jab meri behno ki Rishtay min un logo ny "Apni Marzi" ki jaga Dilwanay ki koshish ki tou hum ny "Baghawat" ker di
jis ki Saza aaj tak hum bhugat rahay hain
main nahi chahta k jis tara meri Maan ki zindagi ko Azeeyatnaak bana ker takleef di gai hy
iss tarah main apni behno k saath nahi honay don ga
jab tak main zinda hon larta rahon ga
koi maany ya na maany Allah tou sub janta hy
jo hum per beeti ya beet rahi hy wo hum khud hi jaanty hain
iss Dunya min humara koi Humdard nahi
sub log humaray "Maal" humari "Doolat" humari "Taleem" humari "Sehat" aur humaray "Mustakbil" per Nazrin lagaiye hoye hain
sub ny humin "Dhoka" diya hy
kya apnay aur kya Paraye
hum sub ko aazmaa chukay hain

ab to ye log humari jaga per Qabza kerna chahty hain
aur isi waja sy ye meri jaan k dushman hain
meri Taleem meri Sehat meray Quraan Namaz meri Naukri meri Ezat k peechay paray hain

aur humin "Galiyoon" per "Faqeer" banana chahtay hain
taa k hum unky aagay "jhuk" jaain

ye hum sy nahi hoga hum "Jhukein" gy tou sirf Allah k aagay
kisi insaan k aagay nahi jhukin gy

Anonymous said...

mainy unka faisla mananay sy inkar ker dia
yehi waja hy k main aaj tak uski "Saza" bhugat raha hon
Wo 6 khadano k "Wadairay" hain aur main aik "be bas" larka
mera yehi Haal hona tha


yehi waja hy k meray waalid humaray aur humari ammi k saath acha sulook nahi kertay
ghar ki Raqam aur paisa gandi ghaliz aur badkaar auraton per lutaatay hain
mainay kai baar unhi ruka hai tou wo mujh sy ghussa ho jatay hain

doosra wo hum per trust nahi kertay bal k baahir k ganday male aur female per trust kertay hain

wo un female ka kehna maantay hain lakin humaray baat nahi suntay
unki iss aadat ny ghar ko tabah o baarbaad ker diya hy
ghar ka sukoon khatam ho chuka hy
wo jo bhi kamatay hain us min sy sirf 30% humin milta hy
baaqi wo sub khandaan ki buri bad kirdaar aur gandi aurato ko Gift ker detay hain
wo bad kirdaar females unhin khaanay min taweez naqsh khila deti hain
un per jadoo tona kerwati hain un per ameliyaat kerwati hain
bal k khandaan ki kuch female khud jadoo jaanti hain aur humaray ghar k peechay pari hain
subh o shaam new magic kerti rehti hain
her qism k "Magical Experiments" hum per kerti hain
jis ki waja sy ghar min beemari, tangi , nafrat, ghusa, bysukooni, bad aitamaadi,jhagara, uljhan, waswasay, gumraahiyan,ghalat fehmiyaan,waghira ho gai hain
waalid humaray saath mahabat nahi kertay
bal k un bad females k bachon sy mahabat kertay hain
aur humaray saath aisay paish aatay hain jaisy hum unki awlaad hi nahi
jab k doosri female k bacho per wo jaan nichawer kertay hain
jab kabi Eid ho ya koi Khushi ya koi Kamyaabi humin Allah ki taraf sy mil jaye tou wo iss per khush nahi hotay bal k humin mazeed koi na koi baat ker k ya ghar ka kharcha rook ker tang kertay hain
matlab kisi na kisi bahanay wo un auraton ki baat maan ker humin tang kertay hain
hum sub sakht azeeyat ka shikaar hain kya kerin wo humaray waalid hain
ager hum unhi kuch kahin bhi tou wo mazeed ghusay min aa ker hum sy raabita khatam ker detay hain aur kehtay hain main doosri shaadi ker lon ga

Anonymous said...

aik aur baat ye k:
wo bad females chahti hain k humaray waalid ghar aa ker "By-Rozgaar" ho jain aur ghar k halaat aur kharab ho jain iss tarah meri ammi ka elaaj aur meri behno ki shaadi nahi ho sakay gi
iss liye wo females meray waalid k zerye ye "Presure" dabao hum per daal rahi hain k main "Naukri" chour ker ghar waapis aa jao.
ager wo ghar waapis aa gaye tou in auraton ki hukomat humaray ghar per ho jaye gi
aur ye auratin apni marzi ki jaga humari shaadi kerin gi

ye auratin meri behno ki shaadi un afraad sy ya aisi jaga kerwana chahti hain
jo "Disable" hon ya "Na-samajh" hon "be-Rozgaar" hon ya Khaandan acha na ho
ya aisa khaandan ho jahan per un females ki "chalti" ho
yaani ye us jaga shaadi kerana chahti hain jahan per unki hukoomat ho aur meri maan ki tarah meri behno ki zindagi bhi azeeyat naak bana din aur jeena mushkil ker din

iss tarah meray waalid aur unka paisa "Maal o Doulat" un Gandi females k paas chala jaye ga
aur mujhy aur meray ghar walon ko kuch nahi milay ga ..siwaaye Azeeyat k.!!

in buri auraton ny humara jeena saans lena mushkil ker diya hy...kai baar mainy khudkashi kerni ki sochi lakin phir apni maan behn ka khyaal aa gaya tou nahi ki

zindagi bahot mushkil sy guzr rahi hy
paisa hy maal hy ezat hy lakin sukoon nahi

sirf aur sirf Waalid sahib ki waja sy

Kaash wo aisay na hotay tou aaj log hum ko tang na kertay
aur aisi Gandi, Ghaliz aur buri auratin hum per hukomat na kerti


Allah ki Zaat k liye humarai maded kejiye
hum jahan nhi jaatay hain ye "bad Frmales" apnay "Jismaani / Jinsi" "Jaal" sy her aik ko apna "Ghulaam" bana leti hain

jis jaga bhi hum gai ye wahan hum sy pehlay "Poonch" jati hain aur
humara kaam kharab kera deti hain

in females ny humaray khilaaf "Rishwat" aur paisay k zerye meri transfer kerwi
meri taleem min rukawat daali aur logon ko paisa dy ker humaray khilaaf ker diya

in "bad female" k paas "Bad kaari" ka "Million" k hissab sy paisa hy
ye jis ko chahti hain paisa dilwa ker rukawat, bandish ya uskay kaam ka result "Change" kerwa deti hain

iss matter min hum bilkul by bas hain
jidher jao wahan Rishwat chalti hai
yehi waja hy k hum aaj nakaam hain



mujhy kisi ny bataya tha k ye jadoo koi Aamil Kaamil hi tor sakta hy
her kisi k bas ki baat nahi

aur in makhlooqat aur assaraat ko koi bahot bara Aamil hi khatam ker sakta hy
mujy kisi Kamil Amil ki talassh thi

Unknown said...

aALLAH PAK APKI MADAD FRMAEY or tamaam mushkilaat se nijaat de kr sukh se bhari zindgi atta frmaey aameeeeeeeeeeen

Anonymous said...

NAMAZ he sab ka hal hai
Sab beekar hai ,,namaz pado aur khuda se mangoo insallah har muraad poori hogi
Har namaz me 2 rakat nafeel namaz niyat kare aur pade insallah har begda kaam ban jayenga
BAS ALLAH PE BAROOSA RAKHE , INSAAN PE NHI

Unknown said...

111 martaba (bismilallah erahmaan errahim) parh kar pani per dam karke poore ghar main cheente maaro . or rozana tamam ghar walon ko ikahtta kar ke sab ko bolo k wo 100 dafa aazaan parhe.. inshallah aap ke jitne masaal hain sab k sab hal hoote jaegy.

Anonymous said...

Aslam alikum
Mery bhai ki phli shadi mein se 2 betian hn or ab dsri shadi ki us ne or dosri bivi ne tawiz kiue ya pta ni kya kiya bhai us k elwa ksi k sath payr ni krta or bachion ka nam tk b ni leta or hm se bht lrai krta hy agr mein yh wzifa kru to yh jaiz hy ya najaiz.

Popular Posts